Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka
Aankhain khuab dekhti hain
Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!!
www.MobilePickle.Com

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tukishq ki batain ghum
ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk
ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tuk
itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk
www.MobilePickle.Com

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!Tera wada bhi na siyasi
ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!
Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!
Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho
www.MobilePickle.Com

Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !apni tabahiyon main hi jub
apna haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija karain
Hamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam,
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karain
Duniya teray faraib say jobach k nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain
www.MobilePickle.Com

Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon mainSadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main
Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main
www.MobilePickle.Com

Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Â
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Â
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh koJab koi bhi na raha kandha
meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
Â
Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Â
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
Kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko
www.MobilePickle.Com

Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahinUn ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin
www.MobilePickle.Com

Jab seena gham se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho,
Tab kamre mein band ho jana aur chupke chupke ro lena,Jab aankhein bhaari
ho jaayen aur yaad mein meri bhar aayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,aur chupke chupke ro lena,
Jab palken qarb se mondi ho aur sab samjhe tum sote ho,
Tab chehre par takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena,
Yeh duniya zalim duniya hai…yeh baat bahut phelayegi,
Tum sabke saamne chup rehna aur chupke chupke ro lena,
Jab baarish chehra dho daale aur ashq bhi bonden lagte ho,
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena.
www.MobilePickle.Com

Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do
Apni muskurahatain apna bholapun day do
Apni ankhain baksh do apna husn nawaz doApna sakhan day do apnay dil ka
dhun day do
Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hay
Mein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar
hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day do
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan mein
Mein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo
K jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day do
Meri zindagi lay lo mujhey apna daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo
www.MobilePickle.Com

Aaj dareechay main woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalana bhool gaya,aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi
woh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,
bahaar ne jub se aana chore diya
mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,
chalte chalte main usko gher lay aayi
woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,
khat likha hai par khat ke koney par
woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gaya
rooth ke dono aik jaga baithey rahey
main usko woh mujko manana bhool gaya
www.MobilePickle.Com

Zindagi qad e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi
Â
Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han
Dawa teri muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
Â
Khnchti ha appni taraf gulshan ki rang- o- bu
Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi
Â
Bhool jana aik naymat ha kuda ki  islia
Bhoolna tera haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi
Â
Thora ha farq baqi insan aur hewan ma
Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
www.MobilePickle.Com

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…
Tu meri “KARB” ki raaton
ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA” ker day.
Uss k “DIL” k kisi konay main jaga day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY”